Sunday, May 27, 2018

Hai Wajah Koi Khaas Meri Aankh Jo Nam Hai

Hai wajah koi khaas meri aankh jo nam hai,
Bas itna samajhta hun ke ye un ka karam hai,

Ye ishq ki mairaaj hai ya un ka karam hai,
Har waqt mere saamne tasveer-e-sanam hai,

Kaabe se taalluq hai na but-khane ka ghum hai,
Haasil mere sajdon ka tera naqsh-e-qadam hai,

Deewanon pe kis darja tera lutf-o-karam hai,
Bakhsha hai jo ghum tu ne wahi haasil-e-ghum hai,

Sar jab se jhukaya hai dar-e-yaar pe main ne,
Mehraab-e-khudi jalwa-gah-e-shaam-e-haram hai,

Kya kaam zamane se use ai shah-e-khoobaa'n,
Taqdeer mein jis ki teri furqat ka alam hai,

Kaunain badal jaaye magar tu na badalna,
Tere hi sabab ahl-e-mohabbat ka bharam hai,

Palkon pe bikharte hain teri yaad ke moti,
Har ashk-e-nadamat tera andaaz-e-karam hai,

Zaahir mein koi kaaba koi dair-o-kalisa,
Baatin mein har ek cheez tera naqsh-e-qadam hai,

Kar apni nazar se mere imaan ka sauda,
Ai dost tujhe meri mohabbat ki qasam hai,

Ye umr guzar jaaye magar hosh na aaye,
Sar shauq-e-ibaadat mein dar-e-yaar pe kham hai,

Ai dost tere ishq mein pahuncha hun yahaan tak,
Aankhon mein sanam-khana hai seene mein haram hai,

Kis tarah 'Fana' chhodun sanam-khana-e-ulfat,
Haasil mere imaan ka deedar-e-sanam hai,

Duniya se niraali hai 'Fana' maqtal-e-ulfat, 
Is maqtal-e-ulfat mein jo sar hai wo qalam hai.!!

"Fana Bulandshahri"

1 comment:

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...