Hai dua yaad magar harf-e-dua yaad nahin,
Mere naghmaat ko andaaz-e-nawa yaad nahin,
Main ne palkon se dar-e-yaar pe dastak di hai,
Main wo saail hun jise koi sada yaad nahin,
Main ne jin ke liye raahon mein bichhaya tha lahu,
Hum se kahte hain wahi ahd-e-wafa yaad nahin,
Kaise bhar aayin sar-e-shaam kisi ki aankhein,
Kaise tharraai charaghon ki ziya yaad nahin,
Sirf dhundlaye sitaaron ki chamak dekhi hai,
Kab hua kaun hua kis se khafa yaad nahin,
Zindagi jabr-e-musalsal ki tarah kaati hai,
Jaane kis jurm ki paai hai saza yaad nahin,
Aao ek sajda karein aalam-e-madhoshi mein,
Log kahte hain ki 'Saghar' ko khuda yaad nahin.!!
"Saghar Siddiqui"
No comments:
Post a Comment