Monday, May 7, 2018

Bhooli Hui Sada Hun Mujhe Yaad Kijiye

Bhooli hui sada hun mujhe yaad kijiye,
Tum se kahin mila hun mujhe yaad kijiye,

Manzil nahin hun khizr nahin raahzan nahin,
Manzil ka raasta hun mujhe yaad kijiye,

Meri nigaah-e-shauq se har gul hai dewta,
Main ishq ka khuda hun mujhe yaad kijiye,

Naghmon ki ibtida thi kabhi mere naam se,
Ashkon ki intiha hun mujhe yaad kijiye,

Gum-sum khadi hain donon jahaan ki haqeeqaten,
Main un se kah raha hun mujhe yaad kijiye,

'Saghar' kisi ke husn-e-taghaful-shiaar ki,
Bahki hui ada hun mujhe yaad kijiye.!!

"Saghar Siddiqui"
___
Khizr = name of a Prophet who is said to have discovered the fountain of life and drunk it, guide, leader,
Raahzan = a robber,
Husn-e-taghaful-shiaar = habitually negligent beauty,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...