Monday, May 7, 2018

Har Marhala-e-shauq Se Lahra Ke Guzar Ja

Har marhala-e-shauq se lahra ke guzar ja,
Aasaar-e-talatum hon to bal kha ke guzar ja,

Bahki hui makhmoor ghataon ki sada sun,
Firdaus ki tadbeer ko bahla ke guzar ja,

Maayus hain ahsaas se uljhi hui raahein,
Paayel dil-e-majboor ki chhanka ke guzar ja,

Yazdaan o ahrman ki hikayaat ke badle,
Insaan ki riwayat ko dohra ke guzar ja,

Kahti hain tujhe may'kada-e-waqt ki raahein,
Bigdi hui taqdeer ko suljha ke guzar ja,

Bujhti hi nahin tishnagi-e-dil kisi soorat,
Ai abr-e-karam aag hi barsa ke guzar ja,

Kaante jo lagein haath to kuchh ghum nahin 'Saghar',
Kaliyon ko har ek gaam pe bikhra ke guzar ja.!!

"Saghar Siddiqui"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...