Haalaat ki ujdi mahfil mein ab koi sulagta saaz nahin,
Naghme to lapakte hain lekin shoalon sa kahin andaaz nahin,
Har barg-e-haseen ko dete hain zakhmon ke mahakte nazraane,
Kaanton se bada is gulshan mein phoolon ka koi dam-saaz nahin,
Ya saaya-e-gul ka hai ye karam ya farq hai daane paani ka,
Panchhi to wahi hain gulshan mein pahli si magar parwaaz nahin,
Marqad sa bana hai khushbu ka munh band kali ke seene mein,
Ai shaam-e-gulistaan tu hi bata ye bhi to kisi ka raaz nahin,
Chhalke na subu aur jhoom uthein qatra na mile aur pyaas bujhe,
Ye zarf hai peene waalon ka saaqi ka koi aijaaz nahin,
Ai sehn-e-chaman ke zindaani kar jashn-e-tarab ki tayyaari,
Bajte hain bahaaron ke kangan zanjeer ki ye aawaz nahin.!!
"Qateel Shifai"
No comments:
Post a Comment