Sunday, May 13, 2018

Haadse Phail Gaye Saya-e-mizhgaan Ki Tarah

Haadse phail gaye saya-e-mizhgaan ki tarah,
Ghum-e-dauraan bhi mila hai ghum-e-jaanaa ki tarah,

Laakh paiwand ummidon ne laga rakkhe hain,
Dil ki surat nazar aati hai garebaan ki tarah,

Koi aflaak-nasheen hai to pukaare mujh ko,
Hasraten khaak-basar hain meri tufaan ki tarah,

Aur honge wo mayassar hai jinhein lutf-e-bahaar,
Hum to gulshan mein bhi rahte hain bayabaan ki tarah,

Jo bhi gul hai yahaan firdaus bana baitha hai,
Kaun khilta hai yahaan ghuncha-e-isyaan ki tarah,

Ye bhi aijaaz kahin baad-e-mukhaalif ka na ho,
Dil uda jataa hai aurang-e-sulaiman ki tarah,

Khauf-e-mahshar se na ghabrao tum ai baada-kasho,
Dar-e-tauba bhi khula hai dar-e-zindaan ki tarah,

Hum kiya karte hain ashkon se tawazo'a kya kya,
Hab khyaalon mein wo aa jaate hain mehmaan ki tarah,

Na koi saaz na sangeet na paazeb na geet,
Uff ye maahaul ke hai shahr-e-khamoshan ki tarah,

Hum tere misr mein aaye hain zulekha-e-shikam,
Bik na jaayen kahin hum yusuf-e-kanaan ki tarah.!!

"Qateel Shifai"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...