Haalaat ke qadmon pe qalandar nahin girta,
Toote bhi jo taara to zameen par nahin girta,
Girte hain samandar mein bade shauq se dariya,
Lekin kisi dariya mein samandar nahin girta,
Samjho wahaan phal-daar shajar koi nahin hai,
Wo sahn ke jis mein koi patthar nahin girta,
Itna to hua fayeda baarish ki kami ka,
Is shahar mein ab koi phisal kar nahin girta,
Inaam ke laalach mein likhe mad'h kisi ki,
Itna to kabhi koi sukhan-war nahin girta,
Hairaan hai kayi roz se thehra hua paani,
Talaab mein ab kyun koi kankar nahin girta,
Us banda-e-khuddar pe nabiyon ka hai saaya,
Jo bhookh mein bhi luqma-e-tar par nahin girta,
Karna hai jo sar marka-e-zeest to sun le,
Be-bazu-e-haidar dar-e-khaibar nahin girta,
Qaayem hai 'Qatil' ab ye mere sar ke sutoon par,
Bhaunchaal bhi aaye to mera ghar nahin girta.!!
"Qateel Shifai"
No comments:
Post a Comment