Gungunati si koi raat bhi aa jaati hai,
Aap aate hain to barsaat bhi aa jaati hai,
Hum ko har-chand gawara nahin aansu lekin,
Apni jholi mein ye khairaat bhi aa jaati hai,
Aarzuon ke janaze hi nahin palkon par,
Bijliyon ki kabhi baraat bhi aa jaati hai,
Gardish-e-jaam se hat kar bhi teri aankhon se,
Wajd mein gardish-e-haalat bhi aa jaati hai,
Wo fasaane jo mere naam se mansoob hue,
Un fasaanon mein teri baat bhi aa jaati hai.!!
"Qateel Shifai"
No comments:
Post a Comment