Tuesday, May 8, 2018

Ghum Ke Har Ek Rang Se Mujh Ko Shanasa Kar Gaya

Ghum ke har ek rang se mujh ko shanasa kar gaya,
Wo mera mohsin mujhe patthar se heera kar gaya,

Ghoorta tha main khala mein to saji thin mahfilein,
Mera aankhon ka jhapakna mujh ko tanha kar gaya,

Har taraf udne laga tareek saayon ka ghubaar,
Sham ka jhonka chamakta shahar maila kar gaya,

Chaat li kirno'n ne mere jism ki saari mithaas,
Main samandar tha wo suraj mujh ko sahra kar gaya,

Ek lamhe mein bhare bazaar soone ho gaye,
Ek chehra sab puraane zakhm taaza kar gaya,

Main usi ke raabte mein jis tarah malboos tha,
Yun wo daaman kheench kar mujh ko barahna kar gaya,

Raat bhar hum raushni ki aas mein jaage 'Adim',
Aur din aaya to aankhon mein andhera kar gaya..!!

"Adeem Hashmi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...