Tuesday, May 8, 2018

Ghum Hai Wahin Pe Ghum Ka Sahaara Guzar Gaya

Ghum hai wahin pe ghum ka sahaara guzar gaya,
Dariya thehar gaya hai kinaara guzar gaya,

Bas ye safar hayat ka itni si zindagi,
Kyun itni jaldi raasta saara guzar gaya,

Wo jis ki raushni se chamakna tha bakht ko,
Kis aasman se wo sitaara guzar gaya,

Kya zikr us ghadi ka kadi thi ki sahl thi,
Jo waqt jis tarah bhi guzaara guzar gaya,

Tafheem-e-dosti mein badi bhool ho gayi,
Phir door se hi dost humara guzar gaya,

Kar ke yaqeen phir se ke main mushkilon mein hun,
Thehra nahin wo shakhs dobara guzar gaya,

Ek waqt khush-naseeb sa aaya to tha 'Adim',
Maddham si ek sada mein pukaara guzar gaya,

Nujrim hua tha aankh jhapakne ka main 'Adim',
Jo zehn mein basa tha nazaara guzar gaya.!!

"Adeem Hashmi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...