Hum bahr-haal dil o jaan se tumhaare hote,
Tum bhi ik-aadh ghadi kaash humare hote,
Aks paani mein mohabbat ke utaare hote,
Hum jo baithe hue dariya ke kinaare hote,
Jo maah o saal guzaare hain bichhad kar hum ne,
Wo maah o saal agar saath guzaare hote,
Kya abhi beech mein deewar koi baaqi hai,
Kaun sa ghum hai bhala tum ko humare hote,
Aap to aap hain khaaliq bhi humara hota,
Hum zaroorat mein kisi ko na pukaare hote,
Saath ahbaab ke haasid bhi zaroori hain 'Adim',
Hum sukhan apna sunaate jahaan saare hote.!!
"Adeem Hashmi"
No comments:
Post a Comment