Faraaz-e-be-khudi se tera tishna-lab nahin utra,
Abhi tak us ki aankhon se khumar-e-shab nahin utra,
Zara main soch lun kya kaam us ko aa pada mujh se,
Kabhi wo baam-e-tanhaai se be-matlab nahin utra,
Meri pursish ko aa pahuncha haseen banda koi warna,
Falak se aaj tak meri madad ko rab nahin utra,
Sitaara sa nazar aata hai upar se jahaan paani,
Main khush-fahmi ke is gahre kuen mein kab nahin utra,
Pashemani ke baad us ko giraaun kaise nazron se,
Ke jab wo bewafa tha mere dil se tab nahin utra,
Kabhi sartaaj mujh be-taaj ko sahwan kaha us ne,
Abhi tak mere sar se nashsha-e-mansab nahin utra,
Tamanna hai ki chhedun naghma-e-insaniyat lekin,
'Qateel' ab tak mere a'asaab se mazhab nahin utra.!!
"Qateel Shifai"
No comments:
Post a Comment