Ek pal baghair dekhe use kya guzar gaya,
Aise laga ki ek zamana guzar gaya,
Sab ke liye buland rahe haath umr bhar,
Apne liye duaaon ka lamha guzar gaya,
Koi hujoom-e-dahr mein karta raha talaash,
Koi raah-e-hayat se tanha guzar gaya,
Milna to khair us ko naseebon ki baat hai,
Dekhe hue bhi us ko zamana guzar gaya,
Dil yun kata hua hai kisi ki judaai mein,
Jaise kisi zameen se dariya guzar gaya,
Is baat ka malaal bahut hai mujhe 'Adim',
Wo mere saamne se akela guzar gaya,
Hum dekhne ka dhhang samajhte rahe 'Adim',
Itne mein zindagi ka tamasha guzar gaya,
Baaqi bas ek naam-e-khuda rah gaya 'Adim',
Sab kuchh baha ke waqt ka dariya guzar gaya.!!
"Adeem Hashmi"
No comments:
Post a Comment