Tuesday, May 8, 2018

Ek Khilauna Toot Jaayega Naya Mil Jaayega

Ek khilauna toot jaayega naya mil jaayega,
Main nahin to koi tujh ko dusra mil jaayega,

Bhaagta hun har taraf aise hawa ke saath saath,
Jis tarah sach-much mujhe us ka pata mil jaayega,

Kis tarah rokoge ashkon ko pas-e-deewar-e-chashm,
Ye to paani hai ise to raasta mil jaayega,

Ek din to khatm hogi lafz o maani ki talaash,
Ek din to mujh ko mera muddaa mil jaayega,

Ek din to apne jhoothe khol ko todega wo,
Ek din to us ka darwaza khula mill jaayega,

Ja raha hun is yaqeen se us ke chhode ghar ki samt,
Jaise wo baahar gali mein jhaankta mil jaayega,

Chhod khaali ghar ko aa bahar chalein ghar se 'Adim',
Kuchh nahin to koi chehra chaand sa mil jaayega,

Tez hoti ja rahi hain dhadkanen aise 'Adim',
Jaise agle mod par wo be-wafa mil jaayega.!!

"Adeem Hashmi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...