Duniya ke har khyaal se begana kar diya,
Husn-e-khyaal-e-yaar ne deewana kar diya...
Tu ne kamaal jalwa-e-jaanana kar diya,
Bulbul ko phool shama ko parwana kar diya...
Mashrab nahin ye mera ke pujoon buto'n ko main,
Shauq-e-talab ne dil ko sanam-khana kar diya...
Un ki nigaah-e-mast ke qurbaan jaaiye,
Mere junoon ko haasil-e-may-khana kar diya...
Thukraye ya qubool kare us ki baat hai,
Hum ne to pesh jaan ka nazrana kar diya...
Tere khiraam-e-naaz pe qurbaan zindagi,
Naqsh-e-qadam ko raunaq-e-veerana kar diya...
May-khana-e-alast ka wo rind hun 'Fana',
Jis par nigaah daal di mastana kar diya.!!
"Fana Bulandshahri"
No comments:
Post a Comment