Dil buto'n pe nisaar karte hain,
Kufr ko payedaar karte hain..
Jin ka mazhab sanam-parasti ho,
Kaafiri ikhtiyar karte hain..
Us ka imaan loot te hain sanam,
Jis ko apna shikaar karte hain..
Hausla mera aazmane ko,
Wo sitam baar baar karte hain..
Is se badh kar nahin namaaz koi,
Apni hasti se pyaar karte hain..
Ai 'Fana' dil sambhaal kar rakhna,
But nigaahon se waar karte hain.!!
"Fana Bulandshahri"
No comments:
Post a Comment