Deeda o dil mein koi husn bikharta hi raha,
Lakh pardon mein chhupa koi sanwarta hi raha..
Raushni kam na hui waqt ke tufaanon mein,
Dil ke dariya mein koi chaand utarta hi raha..
Raaste bhar koi aahat thi ke aati hi rahi,
Koi saaya mere baazu se guzarta hi raha..
Mit gaya par teri baanhon ne sameta na mujhe,
Shahar dar shahar main galiyon mein bikharta hi raha..
Lamha lamha rahe aankhon mein andhere lekin,
Koi suraj mere seene mein ubharta hi raha..!!
"Jaan Nisaar Akhtar"
No comments:
Post a Comment