Ba-hosh wahi hain deewane ulfat mein jo aisa karte hain,
Har waqt unhi ke jalwon se imaan ka sauda karte hain..
Hum ahl-e-junoon mein bas yahi mairaaj-e-ibaadat hai apni,
Milta hai jab un ka naqsh-e-qadam hum shukr ka sajda karte hain..
Milte hain nazar hosh udte hain masti bhi barasne lagti hai,
Maloom nahin wo kaun si may aankhon se pilaya karte hain..
Paate hain wahi maqsood-e-nazar milti hai unhein manzil un ki,
Jo un ki tamanna mein har dam khud apni tamanna karte hain..
Hai shauq yahi mastaanon ko hai sharm yahi deewanon ko,
Seene se laga kar yaad us ki us shokh ki pooja karte hain..
Mayoos na ho nadaan na ban dil soz-e-alam se jalne de,
Jo chahne waale hain un ke wo aag se khela karte hain..
Hum kis ke hue dil kis ne liya wo kaun hai kya hai kya kahiye,
Ye raaz abhi tak khul na saka hum kis ki tamanna karte hain..
May-khana-e-hasti mein hum ne ye rang naya dekha saaqi,
Jin baada-kashon ko hosh nahin wo hosh ka daawa karte hain..
Ye kaisi jafaaen hoti hain ye kaisi ada hai un ki 'Fana',
Hum husn ka parda rakhte hain wo ishq ka daawa karte hain.!!
"Fana Bulandshahri"
No comments:
Post a Comment