Dhadkan dhadkan yaadon ki baraat akela kamra,
Main aur mere zakhmi ahsasaat akela kamra...
Gaye dinon ki tasveeron ke bujhte hue nuqoosh,
Taaza tark-e-ta'alluq ke sadmaat akela kamra...
Dosh-e-hawa par udne waale khizaa'n ke aakhiri patte,
Apni akeli jaan ghum-e-haalaat akela kamra...
Aakhiri shab ke chaand se karna baalkani mein baatein,
Us ke shahar mein hotel ki ye raat akela kamra...
Meri sisakti aawazon se goonjti hain deewarein,
Sunta hai din raat mare naghmaat akela kamra...
Sab saamaan baham hain 'Sajid' likhne likhaane ke,
Khoon-e-jigar aur aansu dil ki dawaat akela kamra..!!
"Aitebaar Sajid"
___
Baham = along with,
No comments:
Post a Comment