Monday, May 7, 2018

Chhote Chhote Se Mafadaat Liye Phirte Hain

Chhote chhote se mafadaat liye phirte hain,
Dar-ba-dar khud ko jo din raat liye phirte hain,

Apni majrooh anaaon ko dilaase de kar,
Haath mein kaasa-e-khairaat liye phirte hain,

Shahar mein hum ne suna hai ke tere shoala-nawa,
Kuchh sulagte hue naghmaat liye phirte hain,

Mukhtalif apni kahaani hai zamane bhar se,
Munfarid hum ghum-e-haalaat liye phirte hain,

Ek hum hain ke ghum-e-dahr se fursat hi nahin,
Ek wo hain ke ghum-e-zaat liye phirte hain.!!

"Aitebaar Sajid"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...