Dhundhte kya ho in aankhon mein kahaani meri,
Khud mein gum rahna to aadat hai puraani meri,
Bheed mein bhi tumhein mil jaaunga aasani se,
Khoya khoya hua rahna hai nishaani meri,
Main ne ek baar kaha tha ki bahut pyasa hun,
Tab se mashhoor hui tishna-dahaani meri,
Yahi deewar-o-dar-o-baam the mere humraaz,
Inhi galiyon mein bhatakti thi jawaani meri,
Tu bhi is shahar ka baasi hai to dil se lag ja,
Tujh se wabasta hai ek yaad puraani meri,
Karbala dasht-e-mohabbat ko bana rakkha hai,
Kya ghazal-goi hai kya marsiya-khwaani meri,
Dheeme lahje ka sukhnawar hun na sahba hun na josh,
Main kahaan aur kahaan shoala-bayaani meri..!!
"Aitebaar Sajid"
No comments:
Post a Comment