Bahut dil kar ke honthon ki shagufta taazgi di hai,
Chaman maanga tha par us ne ba-mushkil ek kali di hai..
Mere khalwat-kade ke raat din yunhi nahin sanwre,
Kisi ne dhoop bakhshi hai kisi ne chandni di hai..
Nazar ko sabz maidanon ne kya kya wus'atein bakhshin,
Pighalte aabshaaron ne humein dariya-dili di hai..
Mohabbat na-rawa taqseem ki qaail nahin phir bhi,
Meri aankhon ko aansu tere honthon ko hansi di hai..
Meri aawargi bhi ek karishma hai zamane mein,
Har ek darwesh ne mujh ko dua-e-khair hi di hai..
Kahaan mumkin tha koi kaam hum jaise deewanon se,
Tumhin ne geet likhwaye tumhin ne shaairi di hai.!!
"Jaan Nisaar Akhtar"
No comments:
Post a Comment