Tuesday, May 29, 2018

Dam Ba Dam Taghayyur Ke Rang Hain Zamane Mein

Dam-ba-dam taghayyur ke rang hain zamane mein,
Kuchh kami nahin aati dard ke khazane mein,

Ghair ki shikayat kya shauq-e-lazzat-e-ghum se,
Main bhi ho gaya shaamil apna dil dukhane mein,

Mere chaar jaanib the khaar-zaar nafrat ke,
Umr kat gayi meri raasta banane mein,

Waqt ne un aankhon ke khwab hi badal daale,
Der ho gayi tujh ko mere paas aane mein, 

Cheekhte the hum-saaye ek ajeeb lazzat thi,
Dhoop mein khade ho kar aaina dikhane mein,

Taairo'n ko aisi bhi kya thi ujlat-e-parwaaz,
Bhool kar chale aaye khwab aashiyane mein,

Thi hawa bhi shoreeda haath bhi the larzeeda.
Ungliyan jala daalin ek diya jalane mein,

Daam aur qafas thehre qissa-ha-e-pareena,
Qaid kar diya us ne mujh ko aab-o-daane mein,

Baam-o-dar 'Farasat' ab kya humein khushi denge,
Zindagi basar kar di ghum ke shamiyane mein.!!

"Farasat Rizwi"
__________

Taghayyur = alteration, change,
Khaar-zaar = thorn fields,
Shoreeda = mad, desperate, disturbed, dejected, frenetic, frenzied,
Larzeeda = shivering,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...