Tuesday, May 29, 2018

Aseer-e-bazm Hun Khalwat Ki Justuju Mein Hun

Aseer-e-bazm hun khalwat ki justuju mein hun,
Main apne aap se milne ki aarzu mein hun..

Meri sarisht mein rang-e-bahaar hai lekin,
Bahut dinon se kisi baagh-e-be-numu mein hun,

Tu mujh ko bhool gaya hai magar mere mutrib,
Main dard ban ke tere naghma-e-gulu mein hun..

Khizaa'n-raseeda kisi nakhl-e-neem-jaan ke tale,
Mujhe bhi dekh usi shaam-e-zard-ru mein hun..

Bhatakta rahta hun shaam-o-sahar nahin maloom,
Main kisi talaash mein hun kis ki justuju mein hun..

Wo jis ke tarz-e-masihaai par hai shahar nisaar, and
Usi ki tegh se dioba hua lahu mein hun..

Main ek aatish-e-khwab-aafreeda ki surat, 
Kabhi charagh ki lau mein kabhi subu mein hun..

Tu mere lafzon se baahar mujhe talaash na kar,
Chhupa hua main kahin apni guftugu mein hun..

Pukaarta hun madad ko koi nahin aata,
Sitam ki shaam hai aur nargha-e-adu mein hun.!!

"Farasat Rizwi"
__________

Sarisht = nature, temperament,
Baagh-e-be-numu = garden without growth; barren garden,
invisible garden,
Nargha-e-adu = trap of enemy,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...