Monday, May 7, 2018

Chhote Chhote Kayi Be-faiz Mafadaat Ke Saath

Chhote chhote kayi be-faiz mafadaat ke saath,
Log zinda hain ajab surat-e-haalaat ke saath,

Faisla ye to bahar-haal tujhe karna hai,
Zehn ke saath sulagna hai ke jazbaat ke saath,

Guftugu der se jaari hai nateeje ke baghair,
Ek nayi baat nikal aati hai har baat ke saath,

Ab ke ye soch ke tum zakhm-e-judaai dena,
Dil bhi bujh jaayega dhalti hui is raat ke saath,

Tum wahi ho ke jo pahle the meri nazron mein,
Kya izaafa hua in atlas o banaat ke saath,

Itna paspa na ho deewar se lag jaayega,
Itne samjhaute na kar surat-e-haalaat ke saath,

Bhejta rahta hai gum-naam khato'n mein kuchh phool,
Is qadar kis ko mohabbat hai meri zaat ke saath..!!

"Aitebaar Sajid"
___
Be-Faiz = miserly, not bestowing any, benefit,
Mafadaat = benefits,
Atlas = satin, soft shining cloth,
Banaat = thick and warm clothes,
Paspa = defeated,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...