Monday, May 7, 2018

Bheed Hai Bar-sar-e-bazaar Kahin Aur Chalein

Bheed hai bar-sar-e-bazaar kahin aur chalein,
Aa mere dil mere ghum-khwaar kahin aur chalein,

Koi khidki nahin khulti kisi bagheeche mein,
Saans lena bhi hai dushwaar kahin aur chalein,

Tu bhi maghmoom hai main bhi hun bahut afsurda,
Donon is dukh se hain do-chaar kahin aur chalein,

Dhundhte hain koi sarsabz kushada si faza,
Waqt ki dhund ke us paar kahin aur chalein,

Ye jo phoolon se bhara shahar hua karta tha,
Us ke manzar hain dil-azaar kahin aur chalein,

Aise hangama-e-mahshar mein to dam ghut'ta hai,
Baatein kuchh karni hain is baar kahin aur chalein..!!

"Aitebaar Sajid"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...