Monday, May 7, 2018

Baat Phoolon Ki Suna Karte The

Baat phoolon ki suna karte the,
Hum kabhi sheyr kaha karte the,

Mish'alein le ke tumhaare ghum ki,
Hum andheron mein chala karte the,

Ab kahaan aisi tabiyat waale,
Chot kha kar jo dua karte the,

Tark-e-ahsaas-e-mohabbat mushkil,
Haan magar ahl-e-wafa karte the,

Bikhri bikhri hui zulfon waale,
Qaafile rok liya karte the,

Aaj gulshan mein shagoofe 'Saghar',
Shikwa-e-baad-e-saba karte the.!!

"Saghar Siddiqui"
___
Shagoofe = buds,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...