Bande zameen aur aasman sarma ki shab kahaniyan,
Sachchi hain ye rifaqatein baaqi hain sab kahaniyan,
Kheme ukhad ujad gaye aisi hawa-e-shab chali,
Kirnein zameen pe likh gayin kaisi ajab kahaniyan,
Wus'at-e-dasht ke makeen waadi mein kooch kar gaye,
Shaakhon pe barf likh gayi naghma-ba-lab kahaniyan,
Chaand ki khaak aa gayi pairon tale hayat ke,
Aisi kathin riwayatein aisi kadhhab kahaniyan,
Jauhar-e-haq nahin mila mujh ko kisi kitaab mein,
Mitti se sun raha hun main aali-nasab kahaniyan,
Wus'at-e-koh-o-dasht ho shahar o nagar ka gasht ho,
Mera safar hikayatein mera adab kahaniyan,
Shahron ko kya khabar ke main kaun hun kis faza mein hun,
Likhni hain ek din mujhe sabr-talab kahaniyan..!!
"Aitebaar Sajid"
___
Sarma = winter,
Wus'at-e-dasht = amplitude and longitude of desert,
Makeen = master of the house, resident, inhabitant,
Kadhhab = Ill-shaped; uncouth; rude,
Jauhar-e-haq = Virtue; constituent; pearl; essence of truth,
Aali-nasab = high ancestry, lineage,
Wus'at-e-koh-o-dasht = Expanse; vista of mountain and desert,
Sabr-talab = that which needs endurance or, patience,
No comments:
Post a Comment