Be-naam sa ye dard thehar kyun nahin jaata,
Jo beet gaya hai wo guzar kyun nahin jaata,
Sab kuchh to hai kya dhundhti rahti hain nigaahein,
Kya baat hai main waqt pe ghar kyun nahin jaata,
Wo ek hi chehra to nahin saare jahaan mein,
Jo door hai wo dil se utar kyun nahin jaata,
Main apni hi uljhi hui raahon ka tamasha,
Jaate hain jidhar sab main udhar kyun nahin jaata,
Wo khwaab jo barson se na chehra na badan hai,
Wo khwaab hawaon mein bikhar kyun nahin jaata.!!
"Nida Fazli"
No comments:
Post a Comment