Saturday, May 12, 2018

Chahatein Mausami Parinde Hain Rut Badalte Hi Laut Jaate Hain

Chahatein mausami parinde hain rut badalte hi laut jaate hain,
Ghonsle ban ke toot jate hain daagh shaakhon pe chahchahate hain,

Aane waale bayaaz mein apni jaane waalon ke naam likhte hain,
Sab hi auron ke kjaali kamron ko apni apni tarah sajaate hain,

Maut ek wahima hai nazron ka saath chhut ta kahaan hai apnon ka,
Jo zameen par nazar nahin aate chaand taqron mein jagmagate hain,

Ye musawwir ajeeb hote hain aap apne habeeb hote hain,
Dusron ki shabahatein le kar apni tasveer hi banaate hain,

Yun hi chalta hai karobaar-e-jahaan hai zaroori har ek cheez yahaan,
Jin darakhton mein phal nahin aate wo jalaane ke kaam aate hain.!!

"Nida Fazli"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...