Friday, June 1, 2018

Bas Ek Lamhe Ka Jhagda Tha

* Nazm *
__________

Bas ek lamhe ka jhagda tha..

Dar-o-deewar par aise chhanake se giri aawaz
Jaise kanch girta hai,

Har ek shay mein gayin udti hui, jalti hui kirchein,

Nazar mein, baat mein, lahje mein, soch aur saans ke andar,

Lahu hona tha ek rishte ka so wo ho gaya us din.!

Usi aawaz ke tukde utha ke farsh se us shab,

Kisi ne kaat li'n nabzein,

Ha ki aawaz tak kuchh bhi,
Ke koi jaag na jaaye.!! 

"Gulzaar"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...