* Nazm *
__________
Kinare par koi aaya tha..
Jis ka khaali bajra dolta rahta hai paani par,
Koi utra tha bajre se,
Wo maanjhi hoga,
Jis ke paanw ke maddham nishan ab tak, Dikhaai de rahe hain geele saahil par,
Gaya tha kahkashan ke paar ye kah kar,
Abhi aata hun thehro us kinare par zara main dekh lun kya hai,
Ye bajra dolta rahta hai is thehre hue dariya ke paani par,
Wo lautega ya main jaaun,
Mujhe us paar jaana hai.!!
"Gulzaar"
No comments:
Post a Comment