Ab to ye bhi nahin raha ahsaas,
Dard hota hai ya nahin hota..
Ishq jab tak na kar chuke ruswa,
Aadmi kaam ka nahin hota..
Toot padta hai daf'atan jo ishq,
Besh-tar der-pa nahin hota..
Wo bhi hota hai ek waqt ke jab,
Ma-siwa ma-siwa nahin hota..
Haye kya ho gaya tabiyat ko,
Ghum bhi raahat-faza nahin hota..
Dil humara hai ya tumhaara hai,
Hum se ye faisla nahin hota..
Jis pe teri nazar nahin hoti,
Us ki jaanib khuda nahin hota..
Main ki be-zaar umr bhar ke liye,
Dil ki dam-bhar juda nahin hota..
Wo humare qareeb hote hain,
Jab humara pata nahin hota..
Dil ko kya kya sukoon hota hai,
Jab koi aasra nahin hota..
Ho ke ek baar saamna un se,
Phir kabhi saamna nahin hota..!!
"Jigar Muradabadi"
___
Ma-siwa = besides, moreover, over and above, yet,
No comments:
Post a Comment