Band dareeche sooni galiyaan an-dekhe anjaane log,
Kis nagri mein aa nikle hain 'Sajid' hum deewane log,
Ek humi na-waaqif thehre roop-nagar ki galiyon se,
Bhes badal kar milne waale sab jaane-pahchane log,
Din ko raat kahein so bar-haq subah ko shaam kahein so khoob,
Aap ki baat ka kahna hi kya aap hue farzaane log,
Shikwa kya aur kaisi shikayat aakhir kuchh buniyaad to ho,
Tum par mera haq hi kya hai tum thehre begaane log,
Shahar kahaan khaali rahta hai ye dariya har-dam bahta hai,
Aur bahut se mil jayenge hum aise deewane log,
Suna hai us ke ahd-e-wafa mein hawa bhi muft nahin milti,
Un galiyon mein har har saans pe bharte hain jurmaane log.!!
"Aitebaar Sajid"
No comments:
Post a Comment