Monday, May 21, 2018

Ash'aar Mere Yun To Zamane Ke Liye Hain

Ash'aar mere yun to zamane ke liye hain,
Kuchh sheyr faqat un ko sunane ke liye hain..

Ab ye bhi nahin theek ke har dard mita dein,
Kuchh dard kaleje se lagane ke liye hain..

Socho to badi cheez hai tahzeeb badan ki,
Warna ye faqat aag bujhane ke liye hain..

Aankhon mein jo bhar loge to kaanton se chubhenge,
Ye khwaab to palkon pe sajaane ke liye hain..

Dekhun tere haathon ko to lagta hai tere haath,
Mandir mein faqat deep jalane ke liye hain..

Ye ilm ka sauda ye risale ye kitabein,
Ek shakhs ki yaadon ko bhulane ke liye hain.!!

"Jaan Nisaar Akhtar"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...