Monday, May 7, 2018

Aane Waali Thi Khizaa'n Maidaan Khaali Kar Diya

Aane waali thi khizaa'n maidaan khaali kar diya,
Kal hawa-e-shab ne saara lawn khaali kar diya,

Hum tere khwabon ki jannat se nikal kar aa gaye,
Dekh tera qasr-e-aalishaan khaali kar diya,

Dushmanon ne shust baandhi khema-e-ummeed par,
Doston ne darra-e-imkaan khaali kar diya,

Baantne nikla hai wo phoolon ke tohfe shahar mein,
Is khabar par hum ne bhi gul-daan khaali kar diya,

Le gaya wo saath apne dil ki saari raunaqein,
Kis qadar ye shahar tha gunjaan khaali kar diya,

Saari chidiyaan ud gayin mujh ko akela chhorh kar,
Mere ghar ka sehn aur dalaan khaali kar diya,

Diary mein saare achchhe sheyr chun kar likh liye,
Ek ladki ne mera diwaan khaali kar diya.!!

"Aitebaar Sajid"
___
Qasr-e-aalishaan = majestic palace,
Shust = thumb,
Darra-e-imkaan = rock of possibility,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...