Andhere laakh chha jaayen ujaala kam nahin hota,
Charagh-e-aarzu jal kar kabhi maddham nahin hota.!
Maseeha wo na hon to dard-e-ulfat kam nahin hota,
Ye zakhm-e-ishq hai is zakhm ka marham nahin hota.!
Ghum-e-jaanaa ko jaan-e-jaan bana le dekh deewane,
Ghum-e-jaanaa se badh kar aur koi ghum nahin hota.!
Talab ban kar meri har dam wo mere saath rahte hain,
Kabhi tanha meri tanhaai ka aalam nahin hota.!
Tumhaara aastana chhorh kar aakhir kahaan jaaun,
Diya hai dard-e-dil tum ne wo dil se kam nahin hota.!
Mera tan-man jala kar tu ne zaalim khaak kar daala,
Magar ai soz-e-ulfat tera shoala kam nahin hota.!
Tere dar se mujhe itni mohabbat ho gayi jaanaa,
Tere dar ke alawa sar kahin bhi kham nahin hota.!
Badalti hi nahin qismat mohabbat karne waalon ki,
Tasawwur yaar ka jab tak 'Fana' paiham nahin hota.!
Samajh lijiye ke jazb-e-dil mein hai koi kami baaqi,
Agar deedar un ka ishq mein har dam nahin hota.!!
"Fana Bulandshahri"
No comments:
Post a Comment