Monday, May 21, 2018

Ai Dard-e-ishq Tujh Se Mukarne Laga Hun Main

Ai dard-e-ishq tujh se mukarne laga hun main,
Mujh ko sambhaal had se guzarne laga hun main..

Pahle haqiqaton hi se matlab tha aur ab,
Ek aadh baat farz bhi karne laga hun main..

Har aan toot te ye aqeedon ke silsile,
Lagta hai jaise aaj bikharne laga hun main..

Ai chashm-e-yaar mera sudharna muhaal tha,
Tera kamaal hai ke sudharne laga hun main..

Ye mehr-o-mah arz-o-sama mujh mein kho gaye,
Ek kayenaat ban ke ubharne laga hun main..

Itno'n ka pyaar mujh se sambhaala na jayega,
Logo tumhaare pyaar se darne laga hun main..

Dilli kahaan gayin tere koochon ki raunaqein,
Galiyon se sar jhuka ke guzarne laga hun main.!!

"Jaan Nisaar Akhtar"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...