Tuesday, May 29, 2018

Aankhein Jahaan Hon Band Andhera Wahin Se Hai

Aankhein jahaan hon band andhera wahin se hai,
Jaage hain hum jahaan se sawera wahin se hai..

Jis ja se hai shuru mera kunj-e-aarzu,
Saaya bhi nakhl-e-ghum ka ghanera wahin se hai..

Ujda hua wo baagh-e-jahaan hum juda hue,
Aaseb-e-ghum ka dil pe basera wahin se hai..

Door ek charagh-e-kushta pada hai zameen par,
Shayad sitam ki raat ka dera wahin se hai.!! 

"Farasat Rizwi"
__________

Charagh-e-kushta = extinguished lamp,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...