Aisa nahin ke un se mohabbat nahin rahi,
Jazbaat mein wo pahli si shiddat nahin rahi,
Zof-e-quwa ne aamad-e-peeri ki di naweed,
Wo dil nahin raha wo tabiyat nahin rahi,
Sar mein wo intizaar ka sauda nahin raha,
Dil par wo dhadkanon ki hukumat nahin rahi,
Kamzori-e-nigaah ne sanjeeda kar diya,
Jalwon se chhed-chhad ki aadat nahin rahi,
Haathon se intiqaam liya irtiaash ne,
Daaman-e-yaar se koi nisbat nahin rahi,
Paiham tawaaf-e-kucha-e-jaanaa ke din gaye,
Pairo'n mein chalne phirne ki taaqat nahin rahi,
Chehre ko jhurriyon ne bhayanak bana diya,
Aaina dekhne ki bhi himmat nahin rahi,
Allah jaane maut kahaan mar gayi 'Khumar',
Ab mujh ko zindagi ki zarurat nahin rahi.!!
"Khumar Barabankawi"
___
Zof-e-quwa = weak, weak parts of body,
Aamad-e-peeri = onset of old age,
Naweed = good news,
Irtiaash = shivering,
No comments:
Post a Comment