Ab wahi harf-e-junoon sab ki zabaan thehri hai
Jo bhi chal nikli hai wo baat kahaan thehri hai,
Aaj tak shaikh ke ikraam mein jo shay thi haraam,
Ab wahi dushman-e-deen raahat-e-jaan thehri hai,
Hai khabar garm ke phirta hai gurezaa'n naaseh,
Guftugu aaj sar-e-ku-e-butaa'n thehri hai,
Hai wahi aariz-e-laila wahi shireen ka dahan,
Nigah-e-shauq ghadi bhar ko jahaan thehri hai,
Wasl ki shab thi to kis darja subuk guzri thi,
Hijr ki shab hai to kya sakht giraa'n thehri hai,
Bikhri ek baar to haath aai hai kab mauj-e-shamim,
Dil se nikli hai to kab lab pe fughaa'n thehri hai,
Dast-e-sayyaad bhi aajiz hai kaf-e-gul-cheen bhi,
Bu-e-gul thehri na bulbul ki zabaan thehri hai,
Aate aate yunhi dam bhar ko ruki hogi bahaar,
Jaate jaate yunhi pal bhar ko khizaa'n thehri hai,
Hum ne jo tarz-e-fughaa'n ki hai qafas mein ijaad
'Faiz' gulshan mein wahi tarz-e-bayaa'n thehri hai.!!
"Faiz Ahmad Faiz"
_____
Ikraam = honour, respect,
Sar-e-ku-e-butaa'n = towards the lover's street,
Dahan = mouth,
Subuk = light, delicate,
Giraa'n = unpleasant/ costly,
Mauj-e-shamim = wave of fragrance,
Fughaa'n = clamour, lamentation, wail, cry of pain or distress,
Kaf-e-gul-cheen = hand of flower plucker,
No comments:
Post a Comment