Sunday, May 20, 2018

Aaj Yun Mauj-dar-mauj Ghum Tham Gaya, Is Tarah Ghum-zadon Ko Qaraar Aa Gaya

Aaj yun mauj-dar-mauj ghum tham gaya, is tarah ghum-zadon ko qaraar aa gaya..

Jaise khushbu-e-zulf-e-bahaar aa gai, jaise paigham-e-deedar-e-yaar aa gaya.!

Jis ki deed-o-talab wahm samjhe the hum ru-ba-ru phir sar-e-rahguzaar aa gaya..

Subah-e-farda ko phir dil tarasne laga umr-e-rafta tera aitebaar aa gaya.!

Rut badalne lagi rang-e-dil dekhna rang-e-gulshan se ab haal khulta nahin..

Zakhm chhalka koi ya koi gul khila ashk umde ke abr-e-bahaar aa gaya.!

Khoon-e-ushshaq se jaam bharne lage dil sulagne lage daagh jalne lage..

Mahfil-e-dard phir rang par aa gayi phir shab-e-aarzu par nikhaar aa gaya.!

Sarfaroshi ke andaaz badle gaye daawat-e-qatl par maqtal-e-shahar mein..

Daal kar koi gardan mein tauq aa gaya laad kar koi kaandhe pe daar aa gaya.!

'Faiz' kya jaaniye yaar kis aas par muntazir hain ke layega koi khabar..

May-kashon par hua mohtasib mehrbaan dil-figaaron pe qaatil ko pyaar aa gaya..!!

"Faiz Ahmad Faiz"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...