Ab tasawwur mein haram hai na sanam-khana hai,
Main jahaan par hun wahin yaar ka kashana hai,
Justuju-e-haram-o-dair se begana hai,
Mera dil aap ki tasveer ka deewana hai,
b na kaabe mein jhukega na sanam-khane mein,
Mera sar, sar nahin sang-e-dar-e-jaanana hai,
Sab teri mast-nigaahi ka karam hai saaqi,
Rind jo bhi yahaan hosh se begana hai.!!
"Fana Bulandshahri"
__________
Kashana = house, dwelling,
Sang-e-dar-e-jaanana = stone of thresold of beloved,
No comments:
Post a Comment