Aankhon mein nami aai chehre pe malaal aaya,
Ai jalwa-e-mahboobi jab tera khyaal aaya..
Tha un ki tawajjoh mein har jazb-e-talab mera,
Har chand mu'addab thi jab mera sawaal aaya..
Is baat pe badli hai bas chashm-e-karam un ki,
Ushshaaq ke honthon pe kyun harf-e-sawaal aaya..
Ya un ke haseen abru aaye hain tasawwur mein,
Ya mahfil-e-hasti mein rakhshanda hilaal aaya..
Hum sajda jahaan kar lein kaaba wahin ban jaaye,
Mit kar teri ulfat mein hum ko ye kamaal aaya..
Ab hashr-ba-daaman hai har mahfil-e-tanhaai,
Tum aaye to furqat ki azmat pe zawaal aaya..
Phir rang-e-junoon barsa phoolon ki qabaon par,
Ye kaun gulistaan mein aashufta nihaal aaya..
Paighaam-e-'Fana' laya taskeen-e-dil-e-muztar,
Wo aa gaye nazron mein jab waqt-e-wisaal aaya.!!
"Fana Bulandshahri"
No comments:
Post a Comment