Ab khushi hai na koi dard rulaane waala,
Hum ne apna liya har rang zamane wala,
Ek be-chehra si ummeed hai chehra chehra,
Jis taraf dekhiye aane ko hai aane waala,
Us ko rukhsat to kiya tha mujhe maloom na tha,
Saara ghar le gaya ghar chhorh ke jaane waala,
Door ke chaand ko dhundho na kisi aanchal mein,
Ye ujaala nahin aangan mein samaane waala,
Ek musafir ke safar jaisi hai sab ki duniya,
Koi jaldi mein koi der se jaane waala..!!
"Nida Fazli"
No comments:
Post a Comment