Aayega koi chal ke khizaa'n se bahaar mein,
Sadiyaan guzar gayi hain isi intizaar mein,
Chhidte hi saaz-e-bazm mein koi na tha kahin,
Wo kaun tha jo bol raha tha sitaar mein,
Ye aur baat hai koi mahke koi chubhe,
Gulshan to jitna gul mein hai utna hai khaar mein,
Apni tarah se duniya badalne ke waaste,
Mera hi ek ghar hai mere ikhtiyaar mein,
Tishna-labi ne ret ko dariya bana diya,
Paani kahaan tha warna kisi reg-zaar mein,
Masroof gorkan ko bhi shayad pata nahin,
Wo khud khada hua hai faza ki qataar mein.!!
"Nida Fazli"
No comments:
Post a Comment