Ab itni saadgi laayen kahaan se
Zameen ki khair maagen aasmaa'n se...
Gar chaahen to wo deewar kar dein
Humein ab kuchh nahi kahna zubaa'n se..
Sitaara hi nahi jab saath deta
To kashti kaam le kya baadbaa'n se...
Bhatakney se mile fursat to puuchhen
Pata manzil ka meer-e-kaarvaa'n se...
Tawajjoh barq ki haasil rahi hai
So hai aazaad fikr-e-aashiya'n se...
Hawa ko raz-daa'n hum ne banaaya
Aur ab naraaz khushbu ke bayaa'n se...
Zaroori ho gayi hai dil ki zeenat
Makee'n pahchaaney jaate hain makaa'n se...
Fanaa-fil-ishq hona chahte they
Magar fursat na thi kaar-e-jahaan se...
Wagarna fasl-e-gul ki qadr kya thi
Babi hikmat hai waabasta Khizaa'n se...
Kisi ne baat ki thi hans ke shaayad
Zamaaney bhar se hain hum khud gumaa'n se...
Main ek ek teer pe khud dhaal banti
Agar hota wo dushman ki kamaa'n se...
Jo sabza dekh kar khemey lagaayen
Unhein takleef kyuun pahunchey Khizaa'n se...
Jo apne ped jaltey chhod jaayen
Unhein kya haq ki roothein baaghbaa'n se..!!
- Parween Shakir
No comments:
Post a Comment