Hum ne hi lautne ka iraada nahin kiya,
Us ne bhi bhool jane ka vaada nahin kiya,
Dukh orrhte nahin jashn-e-tarab main hum,
Malbus-e-dil ko tan ka libaada nahin kiya,
Jo gham mila hai bojh uthaya hai us ka khud,
Sar zer-e-baar-e-saaghar-o-baada nahin kiya,
Kaar-e-jahaan humen bhi bohat thay safar ki shaam,
Us ne bhi iltifaat zyaada nahin kiya,
Aamad pe teri itr-o-charagh-o-subuu na hon,
Itna bhi bood-o-baash ko saada nahin kiya..!!
- Parween Shakir
___
zer-e-baar-e-saaghar-o-baada
down, intoxicated by glass and wine
Subuu- Goblet,
Bood-o-baash- Whereabouts,
Malbus-e-dil- Apparel of the heart,
Jashn-e-tarab- Celebration of joy,
Iltifaat- kindness/ attention,
No comments:
Post a Comment