Monday, May 7, 2018

Aankhon Se Ayaa'n Zakhm Ki Gahraai To Ab Hai

Aankhon se ayaa'n zakhm ki gahraai to ab hai,
Ab aa bhi chuko waqt-e-masihaai to ab hai,

Pahle ghum-e-furqat ke ye tewar to nahin the,
Rag rag mein utarti hui tanhaai to ab hai,

Taari hai tamannaon pe sakraat ka aalam,
Har saans rifaqat ki tamannaai to ab hai,

Kal tak meri wahshat se faqat tum hi the aagaah,
Har gaam pe andesha-e-ruswaai to ab hai,

Kya jaane mahakti hui subahon mein koi dil
Shaamon mein kisi dard ki raanaai to ab hai,

Dil-soz ye taare hain to jaan-soz ye mahtaab,
Dar'asal shab-e-anjuman-aaraai to ab hai,

Saf-basta hain har mod pe kuchh sang-ba-kaf log,
Ai zakhm-e-hunar lutf-e-paziraai to ab hai.!!

"Aitebaar Sajid"
___
Sakraat = fainting, swoon,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...