Be-dam hue beemar dawa kyun nahin dete,
Tum achchhe maseeha ho shifa kyun nahin dete,
Dard-e-shab-e-hijraa'n ki jaza kyun nahin dete,
Khoon-e-dil-e-wahshi ka sila kyun nahin dete,
Mit jaayegi makhlooq to insaaf karoge,
Munsif ho to ab hashr utha kyun nahin dete,
Haan nukta-waro laao lab o dil ki gawahi,
Haan naghma-garo saaz-e-sada kyun nahin dete,
Paimaan-e-junoon haathon ko sharmayega kab tak,
Dil waalo garebaan ka pata kyun nahin dete,
Barbaadi-e-dil jabr nahin 'Faiz' kisi ka,
Wo dushman-e-jaan hai to bhula kyun nahin dete.!!
"Faiz Ahmad Faiz"
No comments:
Post a Comment